Posts

Showing posts from February, 2025

Budh Grah Ke liye Apamarg Ki Jad

Image
  Apamarg ki jad ka upayog Budh ke bure prabhav kam karne ke liye kiya jata hai. Budh ke bure prabhav se vyakti ki bauddhi ki shamata prabhavit hoti hai aur uski nirnay lene ki shamata kam hoti hai. Agahan mahine ki poornima ko pratahkal mein vidhi poorvak layi Budh Grah Ke Liye Apamarg ki jad ka panchopchar pujan kara ke abhimantrit karke bhuja mein baandhne se aane wali badi-badi vipattiyan door rahti hain.

Mangal Grah Ke Liye Khair ki Jad

Image
Mangal Grah Dosh ko Dur karne ke liye anantmool ya khair ki jad ko lal kapade mein mangalvaar ke din dahine bhuja par bandhana shubh hota hai. aisa karane se jeevan mein sukh-samridhi hamesha bani rahegi. khair ki jad mein mangal grah dosh se nijaat paane ke liye khair ki jad bandhana labhkaar hai.

Chandra Grah Ke Liye Khirni Ki Jad

Image
Chandra Grah ke dauran Khirni ki jad kaafi prabhavit hoti hai. Iska istemal chandra dosh aur manasik ashanti ko door karne ke liye hota hai. Khirni ki jad ko paani mein daal kar usse peene se chandra grah ke prabhav se bachav hota hai, aur vyakti ko shaanti aur sukhanubhav milta hai. Ye upay grah dosh ko kam karta hai.

Shree Yantra Bhojpatra

Image
  Shree Yantra Bhojpatra ek pavitra aur shaktishaali yantra hai, jo spiritual aur dharmik upayog ke liye banaya jata hai. Is yantra ko bhojpatra (tree bark) par nakha jaata hai, jo vishesh roop se Shree lakshmi Devi ki kripa aur samriddhi ke liye upyogi mana jata hai. Shri Yantra ka pratyek bindu aur rekha brahm ka pratinidhitva karti hai, jo srishti aur aatmik unnati ke liye mahatvapurn hai.

Ek Mukhi Jagrut Rudraksha

Image
  Ek Mukhi Jagrut Rudraksha ek durlabh aur shaktishaali beej hai jise aadhyatmik mahatva ke liye jaana jaata hai. Yeh Bhagwan Shiv ka prateek hai aur ise gehri saadhana, aantarik shanti aur unchi chetna dene wala maana jaata hai. Yeh apni shamta ke liye atyant poojaniya hai, jo vighno ko door karne, maansik spashta ko badhaane aur aadhyatmik vikas ko badhawa dene mein madad karta hai.

Manglik Dosh Ke Liye Akhade Ki Mitti

Image
  Agar aap manglik dosh se nijaat pana chahte hain, tho mangalvaar ke din hanuman ji ki pooja-upasana karni Chaiye. Saath hi pooja ke samay sundarkand ka paath kare. Manglik dosh ko dur karane ke liye apko pooja sathal ya karya sathal mein ek choti si potali mein sidh kari hui akhade ki mitti daal kar rakhna chaiye.

Rahu Grah ke liye safed Chandan

Image
  Jyotish ke anusaaar chandan ko rahu grah se joda jaata hai. Jis vayakti ki janm patrika mein rahu ashubh sathan par baitha ho, athva peedit ho to yeh jaatak ko isake nakaratmak parinaam praapat hote hain.

Shukra Grah Ke Liye Gular Ki Jad

Image
  Shukar grah ke liye gular ki jad vaibhav ka bhi kark maana jaata hai. Aise mein agar gular ke jad pahani jaye to isse vyakti ke jeevan mein dhan-sampada aur maa lakshmi ki kirpa bani rahati hai. shukra grah ko majboot karane ke liye​​ shukravaar ke din gular ke ped ki lakadiyon se havan karate huye om shan shukraay namah mantra ka jaap kare.

Budh Grah Ke liye Apamarg Ki Jad

Image
  Apamarg ki jad ka upayog Budh ke bure prabhav kam karne ke liye kiya jata hai. Budh ke bure prabhav se vyakti ki bauddhi ki shamata prabhavit hoti hai aur uski nirnay lene ki shamata kam hoti hai. Agahan mahine ki poornima ko pratahkal mein vidhi poorvak layi Budh Grah Ke Liye Apamarg ki jad ka panchopchar pujan kara ke abhimantrit karke bhuja mein baandhne se aane wali badi-badi vipattiyan door rahti hain.